Skin Care in Winter For Dry Skin
Welcome to seeurdu kia
apnay kabhi notice kiya hai kay weather change hotay hoay app ki skin kiya
react karti hai. Agar aisa hai to apnay feel kiya hoga kay winter season kay
months mein app ki skin dry or ruff ho jati hai. Skin care in winter for dry
skin app zeyada say zeyada faida utha saktay hain.
Thandi hawa dry winter
season moisture ki kami ki waja say app ki skin bahoot zeyada dry ho jati hai. app
ki skin extra dry looking mein nazar ati hai. Yeh mosaam app ki skin mein say
moisture khatam kar dayta hai. Winter season mein app ki skin say shine khatam
ho jati hai. Yahan tak kay app ki body kay parts bhe dry hona shuru ho jatay
hain.
App kuch steps ko
follow kar kay skin ki healthy looking bana saktay hain. Mosaam chahay jaisa
bhe ho winter season ho ya summer season ho dry air ho ya moisture air ho sub
conditions mein skin care kar saktay hain or apni skin ko protect kar saktay
hain.
Skin Care in Winter For Dry Skin |
What Are The Signs Of Dry Skin
- flakiness or scaliness
- redness
- rough texture
- itchiness
- raw, irritated skin
- cracks in your skin
- stinging or burning
How To Prevent Dry Winter Skin
Dry winter season mein skin ki treatment ki jaa sakti hai. Apni skin ki protection kay method or habits mein kuch change kar kay or sahi products ka use kar kay app saray winter season mein apni skin ko soft, healthy, or normal bana saktay hain.
Also Read: Beauty Tips Skin Care Tips For Face At Home
6 Beauty Tips ko dekhtay hain jo
skin ki health ko boost karnay mein help kartay hain.
Skin Care in Winter For Dry Skin |
Moisturize Right After Washing
Jaab bhe app apna face, hand, ya body wash kartay hain is say app ki
skin mein natural oil khatam ho jata hai or skin par dryness aa jati hai. Yeh
oil moisture ko skin mein block karta hai. Is liye zaroori hai kay app apni
skin ko jaab bhe wash karin to khaas kar winter season mein moisture ka use zaroor
karin is say app ki skin normal rehti hai.
Jahan app body wash kartay hain wahan body moisture ka hona bahoot
zaroori hai yeh damage skin ko repair karnay mein help karta hai. jaab app
kahen gahr say bahar ghumnay phernay jatay hain to apnay saath small size ka
moisture rakhain.
Moisture special winter season mein use kiya jata hai jo cream ya lotion
ki form mein milta hai.
Apply
Sunscreen Daily
Winter season
mein din short or raat ki duration long hoti hai lakin winter season mein bhe
sun light say skin ko protect karna itna he zaroori hai jitna summer season
mein skin par moisture apply karnay kay baad sunscreen ka apply karna bahoot
zaroori hai jo skin care or skin protection mein bahoot help karta hai.
Skin ko sun ki
UV rays say protect karta hai. Daily face ko moisturize karnay kay baad
sunscreen ka use zaroor karin is mein present skin protection action skin ki
care mein bahoot important role play karta hai.
Use Overnight Treatments
Raat
he raat mein dry skin ko phir say normal karnay kay liye bahoot acha method hai.
Emollients moisturizing kay liye best hai yeh heavy type ki cream hai app ki
skin ko absorb karnay mein time duration lag sakta hai.
App
ki skin par overnight emollient apply karnay say treatment karnay mein zeyada
assani paida hoge. Emollient app ki skin ko moisture or oil say complete kar
dayga or skin ki requirements ko complete kar dayga.
Agar
app apnay hathoon or feets par lotion ya cream ka use kar rahay hain to in par wrapping
ya gloves kaa use zaroor karin.
Adjust
Your Skin Care
Routine
Winter season ki
dry air ki waja say app kay face ki skin bahoot sensetive or irritated feel
hoti hai. To filhal app apni skin ki treatment ki routine ko simple bananay par
focus kar saktay hain.
Apni ki treatment
skin type kay hesaab say karin agar zeyada oil wali hai to aisi products ka use
karin jiss say oil kaam ho or agar dry skin hai to moisture ka use karin har
weather kay saath saath apni skin ki treatment management say karin.
Use a Humidifier
Air mein moisture ka hona bahoot zeyada zaroori hai iski kaami bhe skin ko damage karti hai or iski zeyati bhe skin ko distrub karti hai. Aksaar winter season mein moisture decrease ho jata hai or skin mein shine khatam ho jati hai.
Skin kay liye skin type ka pata hona bahoot zaroori hai
takay skin type kay hesaab say skin ka treatment kiya jaa sakay or proper
monitor kiya jaa sakay skin kay liye Air ka hona bahoot zaroori hai.
Dial Down The Temperature
Winter season kay last mein zeyada garam paani ka use bhe
skin ko damage kar sakta hai or skin mein bahoot se problems ko create karta
hai. Garam paani say skin mein moisture ki kaami ho jaati hai skin ruff nazar
ati hai. Jitna zeyada kosish ho sakay skin ka temperature normal rakhain or
moisture products ka use karin. Beauty tips
0 Comments
Please do not enter any spam links in the comments box. Thank you